Wednesday 13 July 2016

Top 5 Sites PC Me Games Download Karne Ki

Hello Friends aaj ka hamar topic hai computer me games download karne ki best sites. aksar aisa hota hai ham koi bhi game internet par serch karte hai. toh wo hame full version me nahi mil pata hai. agar aap games khelne ke shaukeen hai toh in websites se aap full version me free me game download kar skte hai.

yaha par mai sabhi websites ki category ko bataunga ki kis website me apko kaise games milge. Aaj kal computer ho ya mobile ho log sabhi devices me games khelna bohat pasand karte hai. mobile me toh ham play store ki madad se acche achche games download kar pate hai. lekin jab baat computer ya laptop me games khelne ki aati hai. tab hame koi acchi website nahi mil pati hai jisse ki ham full version me free me games download kar ske. kyuki agar ham market me games ki CD lene jayege toh waha par hame kafi paise kharch karne pad skte hai. kyoki aaj kal games ke price kafi high hai agar aap 1 game khareedne ke liye jayege toh iske liye aapko 1-2k kharch karne pad skte hai.



Agar aapko computer games me jyada interest hai toh apke liye ye post helpful sabit ho skti hai. kyuki aaj ka hamar topic games ka hi hai. agar aap in best websites ko janna chahte hai. toh is post ko padhte rahe. 

Games Download Karne Ki 5 Best Sites

Internet par apko sites toh bohat sari mil jayegi. lekin full version me games milna bohat hi muskil hai. sabi sites me full version ke games nahi hote hai. full version me games download karne ki apko bohat kam hi sites milegi. lekin maine kafi reaserch karke aise sites ki jankari prapt ki hai. jaha se aap acche acche games free me download kar skte hai. toh aaiye jante hai kaun si hai ye sites.
1- Mega Games
Games download karne ki isse acchi site apko kahi bhi nahi milegi. is website me aap apni pasand ke koi bhi games download kar skte hai. agar aapke pass acche proccesor ka computer ya laptop hai. toh aap yaha se high games full version me download kar skte hai. Yaha par aapko HD aur 3D games mil jayege. jise aap download kar apne pc me khel stkte hai. yaha par aapko pc ke alawa playstation games bhi mil jayege. jise aap free me download kar Skte hai.

2- Pogo
Baccho ke liye games download karne ki ye sabse awesome site hai. yaha par games download karne ke liye sabse pahle apko registration karna padega. bina registration ke aap isme games nahi download kar skte hai. lekin registration karna bohat hi easy hai. iske baad aap koi bhi games search kar download kar skte hai. ya fir aap direct category select kar games ko full version me download kar skte hai,
3- Reloaded
is website ki sabse badiya ye baat hai. isme aap games me review de skte hai. aur dusre logo ke review padhkar games ko download kar skte hai. isme jis games me apko accha review mile. use aap download kar skte hai. is website me apko kafi sari category milegi jise select kar aap games ko apne hisab se download kar skte hai. Isme aapko full HD games free me mil jayege.

4- Free Pc Gamers
free pc gamers ko bhi logo ne bohat pasand kiya hai. yaha se lagbhag 1 lac log perday games ko install karte hai. is website me apko roz new new games download karne ko mil jayege. isme apko world ke top games download karne ko milege. agar aap action, casual, shooting ke games khelna jyada pasand karte hai. toh is website me visit karke aap games full version me download kar skte hai.]

5- Acid Play
Acid play bhi ek acchi website hai. isme aapko na jane kitne best games mil jayege. lekin isme kuch games aise bhi hai jise download karne ke liye apko paise bhi kharch karne pad skte hai. isme aap games ki rating bhi check kar skte hai.

Last Word For You
dosto aaj ki post me maine apko bataya ki computer pc me free game full version me kaise download kare agar apko ye article helpful laga ho toh social media me apne dosto ke sath jarur share kare.

No comments:

Post a Comment