Monday 18 April 2016

KOONDE KI FATIHA KAB KARANA CHAHIYE (ISLAMIC JONE)

 KOONDE KI FATIHA KAB KARAANA CHAHIYE ?
   

  Koonde ki fatiha RAJAB ki (22 ) tareekh k bajaye (15) tareekh ko karana chaiye kiyun k imam jafar sadiq ka visaal rajab ki (15) tareekh ko hua hai .
Rajab ki (22) tareekh ko sahabi e rasool hazrat ameer muaviya ka intiqaal hua hai aur is 22 tareekh ko rafzi (sheea ) ameer muaviyah k visaal ki khushi me eed manate hain .
Lihaza sunni hazraat sheeaon ki muvafaqat me 22 tareekh ko har giz har giz koonde ki niyaz na karen balke 15 rajab ko hi karen k yeh imam jafar sadiq k visaal ki tareekh hai.
 FATAVA FAQEEH E MILLAT 2/265,266)
 koonde ki niyaz k liye kheer poori zaroori nahi balke kisi bhi pak aur halal cheez par ho sakti hai.
 Niyaz ke liye meetha zaroori nahi namkeen khane par bhi niyaz ho sakti hai.
 is din gosht aur koi bhi namkeen khana pakana jaiz hai.kuch log gosht pakane ko najaiz samajhte hain vah ghalati par hain.
 niyaaz ek jagah beth kar khana zaroori nahi balke kahin bhi Beth kar kha sakte hain.
 Fatiha k liye mitti k koonde zaroori nahi balke kisi bhi bartan me rakh kar fatiha dila sakte hain.
 Niyaz k bad koondo ko nadi vaghairah me phenk dena najaiz va gunah hai k yeh maal ko zaye karna hai.koonde apne kisi kaam me layen ya kisi zaroorat mand ko deden.
 koondo ko nadi me chodne ka muravvajah tareeqah bilkul ghalat , jahilana aur hinduaana hai is se bachna lazim hai.
 Biryani, Dahi, machhali, gosht, kaleji, chaney jalebi
garz ki har halal cheez ki niyaz pesh ki ja sakti
hai
 Niyaz ka khana Din raat shaam dopahar kisi bhi
waqt khilaya ja sakta hai
 Har sunni musalman mard aur aurat bachhe ko khila sakte hai
 Kundey ki fatiha ek saal ki to har saal karna farz ya waajib nahi Lekin hasb e istitaat har saal har buzurg ki fatiha Karani chahiye Kisi saal kisi jayaz wajah se fatiha na bhi karwayi to koi harj nahi
 na kar paye to ye sochana ki ab Imam JAFAR SADIQ RadiyALLAHU Snhu mujhse naraz ho jayenge aur mere ghar par musibaten mushkil aa jayegi...aisa sochana Haraam hai
MA'AZ ALLAH ta'ala
Aisa aqeeda AHLE SUNNAT ka nahi
 Har saal niyaz me jo khana pakaya khilaya wohi khana har saal pakana khilana zaruri nahi
 Kundey ke puri kheer ghar ke kisi ek kamre me hi khilaye jaye dusrey kamre me nahi le ja sakte Ya ghar ke bahar nahi le ja sakte...ye sab wahiyaat khayal hai
 Kundey subah fajar se maghrib tak hi khila sakte hai....ye bhi galat hai
 Jo kundey bach jaye unhe dafan kar diya jaye ya Khana khilane ke bajaye dafan karna Ye saari baate HARAAM HARAAM Ashad HARAM
 Bachey huey khane ko ya puri kheer ko logo me taqseem karna bilkul jayaz balki sawab ka mustahiq hai
 Din ya raat kisi bhi waqt taqseem kar sakta hai
Aisa koi masla nahi
 Kundey ya dusri niyaz ka khana haiz yani period se rahne wali aurat bana bhi sakti hai aur kha bhi sakti hai usme Koi harj nahi...
 ye hindu ka tariqa hai ki haiz wali aurat ko kitchen  tak nahi ane dete.
 Is baar tamam sunni bhaiyon ke ghar me
kundey ki fatiha honi chahiye
 Ghar ka bana khana ho ya sirf halwa ya chahey 1 glass pani ho Is par Fatiha padhen aur zarur karen.
 Koi zaruri nahi ki jiske ghar pahle se hoti ayi usi
ke ghar kundey ki niyaaz ho Balki Har koi niyaz kar saktaa hain
❌ yeh sab rasme aur is jaisi bahut si rasmen aur bidaten Auraton ki man ki gadhi huyi hain deen va islam se unka koi taalluq nahi
 Musalmano par lazim hai k vah aisi rasmo ko bilkul chodh den.allha hafiz dua me yaad rakhe md juned



No comments:

Post a Comment