Thursday 28 April 2016

Blogger Favicon Kya Hai or Blog Par Favicon Ko Kaise Change Karte Hai

Apne blog ka favicon ya logo ko kaise change kar sakte hai. aaj mai aapko iske bare me bata raha hu. ye bahut aasan hai aap apni pasand ya apne blog ke name ka icon yaha laga sakte hai. ye bahut hi acha tarika hai apne blog ki pahchan banane ka.
Blogger favicon yani blog ka logo jo blog ko browser me open karne par browser link box me aapke blog ke left side me show hota hai.

Favicon (logo) Kya Hai or Ye Kyu Jaruri Hai?


Favicon ek choti c  lagbhag (16px x 16px size) ki photo hoti hai. jise aapne websites ke address ki side me dekha hoga. aap bhi apne blog par apna logo laga sakte hai. isse aapke visitors ko aapka blog website ki taraha lagega

Apne Blog Me Favicon ko kaise add kare?

Sabse pahle blogger.com par log in kare or apne blog ke dashboard par jaye.
change favicon
1. layout par click kare
2. favicon ke samne edit par click kare.
ab aapke samne is taraha ki ek window open hogi.
change blog favicon
1. Choose file par click karke apne photos me se ek photo chune jo 100kb se jyada size ki nahi ho.
2. photo choonne ke bad Save par click kar de aap wapis apne blog e layout par aa jaoge.
Save arrangement par click kare.

kuch time wait karne ke bad apne blog ko open kare ab aapka logo change ho chuka hai. agar aapka blog favicon se koi sawal hai to comment me puch sakte ho. or ha is post ko apne dosto ke sath share jarur kare sath hi hume bhi social media par followe kare.

No comments:

Post a Comment