Monday 25 April 2016

Whatsapp Latest Tricks 2016 Hindi me

Whatsapp mobile user ke liye sabse popular or usefull app hai. Kyunki ye world ke kisi bhi OS me supported hai, jaise ki Android, iOS, Blackberry, htc, symbian, windows etc. Hum jante hai ki whatsapp ka use  day by day adhik hota ja raha hai. Islye whatsapp ke tricks bhi adhik search kiye ja rahe hai. Gyanbook pe aap Latest whatsapp tricks 2016 pa sakte hai.





Whatsapp Latest Tricks 2016


Whatsapp pe Pdf, Zip, Exe, Apk, Rar or Big size files kaise share kare

Ye whatsapp trick apko Pdf, zip, exe, apk, rar or adhik size ke file ko friends or family ke share karne me help karega. Jaisa ki hum jante hai ki whatsapp ke kuch limitations hai, whatsapp se hum big size ke files or pdf, rar, exe, zip, apk files nahi send kar sakte hai.

Step By step jane whatsapp se big size or pdf, exe, rar, apk etc file sensmd karne ke tricks

1.Sabse pahle apne phone me Dropbox ya cloudsend application download or install kare.
2. Ab cloudsend app open kare. ab apko ek link milega jo dropbox se connected hoga. Allow pe click kare.
3. Ab koi bhi file cloudsend pe share kare,Wo file automatically dropbox server pe uploaded ho jayega. Ab apko ek link milega.
4. Link copy kare or Link ko apne friends ya family member ke sath share kare. Jb apka friend link pe click karega toh file automatically download hone lagega.
Upar diye gaye tricks ki help se aap easily big files share kar sakte hai.

Whatsapp pe deleted message kaise recover kare

Ye  tricks se aap whatsapp ke deleted message phir recover kar sakte hai. Kabhi kabhi galti se whatsapp pe koi message delete ho jata hai. Don’t worry ab deleted message asani se recover kar sakte hai.

Whatsapp pe Deleted message recover karne ke steps

1. Whatsapp humare sabhi chat ko Sd card me save kardeta hai.
2. Mobile ke Sd card>> Whatsapp>>Database me jaye
Yaha apko msgstore.db.crypt file milega. Ye file apke whatsapp ke 1 day ka received or send message ko save kar leta hai. Usi folder me ek or file msgstore-yyyy.dd.db name se hai, ye file apke whatsapp ke last 7 days ka received or send save karta hai.
3. File ko Text editor app se open kare.
4. Ab Apne whatsapp ka sabhi message read kar sakte hai.
Upar diye gaye trick se whatsapp ka deleted message chath phir se read kar sakte hai.

Whatsapp Last seen kaise enable kare

Aaj kal bahut se log privacy chahte hai, Islye whatsapp ne last seen hide karne ka features diya hai. step by step follow kare last seen hide karne ke liye.
1. Whatsapp open kare.
2. Phone ke  Menu button pe click kare
3. Ab settings>>Account>>Privacy me jaye
4. Waha apko last seen ka option, last seen pe click kare.
5. Nobody select kare, Apka last seen hide ho chuka hai.






  • Whatsapp Messaging Statistics

     
    Kya aap adhik time tak whatsapp use karte hai? Kya aap janna chahte hai ki apka whatsapp ko kitne time aur kis din sabse adhik use karte hai? Whatsapp ke kis group pe sabse adhik time spend karte hai? Aap apne sabhi whatsapp habits pe bhi nazar rakh sakte hai. Apko sirf Android device me Whatstat application download karna hoga. Whatstat, ek android app hai jo Whatsapp ke sabhi activity pe nazar rakhta hai.

    Whatsapp Chat 2 Device Me Kaise Transfer Kare

    Ye Whatsapp Latest Tricks hai. Yadi app apne Whatsapp chat ko kisi other device me transfer karna chahte hai toh ye possible hai. Mughe bahut se emails mile hai jisme ye pucha gaya hai ki ” Whatsapp chat ko kisi aur mob me kaise transfer karte hai?” Apko sirf device me sD card insert karke, Setting >> Chat >> Chat Backup me jana hai. Aur Chat ka backup banana hai. Ab sD card ko remove kare. sD card ko remove kare, Aur mobile me insert kare jisme chat ko transfer karna chahte hai. ab whatsapp install kare. apke device me chat backup stored ho jayega.

    Private Message Group Me Kaise Send Kare

    Kya apne New Broadcast ka option dekha hai, jisme ek Message ko ek sath bahut se friend ko send kar sakte hai. Is feature ko use karne ke liye contact name pe tap kare. Ye apko 2 option dega. First New Broadcast and Second New Group. New Broadcast option ko select kare. Ab New Broadcast ka window open hoga jisme aap 256 people ko add kar sakte hai.

    Whatsapp Notification Ko PC Me Kaise Dekhe.

    Kabhi kabhi aap kuch important message ko whatsapp pe sahi time me read karna miss kar dete hai. tabhi apko bahut pachtwa hota hai. Khaskar jab aap Desktop pe work kar rahe hote hai toh aksar mobile ke Whatsapp Message ko miss kar dete hai. Dont Worry!!!! Mia apko ek trick batunga jisye aap Whatsapp ke notification ko PC pe bhi dekh sakte hai.
    Sabse pahle Google Chrome me Whatsapp Web ka Extension install kare. Options >> Notifications >> PC Alerts pe click kare. Apka Whatsapp notification ab PC me bhi recieve ho sakta hai.


    No comments:

    Post a Comment