Saturday 19 November 2016

Hazrat Ali ( R.A) Quotes in Hindi : Quotes

Insaan ka apne Dushman se inteqaam ka sab se acha tariqa ye hai k
wo apni khoobiyo’n me izafa kare. (
Hazrat Ali)


Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, ALLAH k nazdeeq us nayki se behtar
hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye”. ( 
Hazrat Ali )

Kisi ne HAZRAT ALI R.A se poocha: “Dost aur bhai me kya farq hai?”
Aap ne farmaya: “Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha: “Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti
cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya: “Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar
bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar
aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’

Agar kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do
Wo Aa’la zarf hua to aap ko aur izzat de ga or kam zarf huwa to
khud ko Aa’la zarf samjhe ga ( Hazrat Ali )

HAZRAT ALI R.A Ka Farman Hai:-

“Bura Dost Aag Ki Manind Hai”
“Agar Jalta Hoga To Aap ko Jala Dega”
“Aur Agar Bujha Hoga To Aap K Hath Kaaley Kar Dega”

Aazmaye Huye Ko Azmana Bewakufi hai. ( 
Hazrat Ali )

Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum
Per ALLAH Ki inaayat Hai. (Imam Hussain A.S)

No comments:

Post a Comment