Saturday 19 November 2016

Ek but ka ailan e Haq – Hadees

Hadees – Hazrat umar radiallahu ta’ala anhu ka bayan hai ki mai ek din kuffar me buto ke pas so gaya.
Na gaha ek but parast ek gaay ka bachda laya aur usko zibah kiya to but se ek gaibi awaz aai ki
“ay adawat rakhne wale yah ek kamyab hone ka muamala hai ki ek faseeh Admi la ilaha illallah kah raha hai. Yah sun kar sare admi bhag khade hue magar maine apne dil me thaan liya ki mai yaha se nahi hatunga yaha tak ki mai malum na karlu ki iske piche kya hai? Fir yahi awaz aai ki “ya Jaleehu amrun najihun rajoolun faseehun yakoolo la ilaha illallah” yah sunkar mai waha se uth gaya. Aur uske kuch dino ko ke baad hi yah charcha hone lagi ki wah ( sallallahi ta’ala alaihi wasallam) Nabi hain.
(Bukhari jild 1 safa 456)
Hazrat aysha aur hazrat talha radiallah ta’ala anhuma ka bayan hai ki yahi waqya hazart umar radiallah ta’ala anhuma ke quboolr islam ka sabab bana
(Hashiya bukhari jild 1 safa 546)
Tabasara – Huzur khatimun nabiyeen sallallahu ta’ala alaihi wasallam ki nabuwwat ki shahadat pattharo, daralhto parindo charindo yaha tak ki kuffar ke buto ne bhi di. Yah huzoore akram sallallahu ta’ala alaihi wasallam kr mojizat me se ek badiya mojiza hai. Ki kuffar ke ek but ne itni buland awaz se kalima padha ki quffar ne suna.
Subhan ALLAH

No comments:

Post a Comment