Friday 18 November 2016

Fazaail E Shabe Qadr

FAZAIL E SHAB-E- QADR

SHAB- E- QADR ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui , allah
T’aala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaqbaargi lauhe Mehfooz
se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.
Iss Shab Mein Ibaadat Karna Hazaar Mahinon Ke Ibaadat Se
Behtar Hai Iss Shab Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur
Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain Aur Jo Log
Ibaadat Wa Riyaazat Mein Mashgool
Rehte Hain Unhein Salaam
Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye
Farishte Subha Saadiq Tak Rehte Hain.
Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki
Jaati Hain
Hadees – Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se
Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam
Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar
MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha
Wo Beshak Mehroom Hai.(Nasai)
Hadees – Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai
Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala
Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein
1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai Jo Isse Mehroom Raha
Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se
Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.(Ibne Majah)
Hadees – Hazrat Salman Farsi Radiyallah8u T’aala Anhu Se
Riwayat Hai Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam
Ne Farmaya- Aye Logo! Tumhaare Paas Azmat Wala Barkat
Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme 1 Raat Hazaar
Maheenon Se Behtar Hai.(Baihaqi)
Hadees – Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu T’aala Anhu Se
Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi
Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jo Imaan Ki Wajah Se Aur
Sawaab Ke Liye Shabe Qadr Mein Ibaadat Karega Uske Agle
Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge.(Bukhari,Muslim)
Lijhaza  Iss Raat Mein Zyaada Se Zyaada Ibaadat Karni
Chaahiye, Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazeelat Wali Hai Iska Har
Har Lamha Ibaadat Mein Guzaarna Chaahiye, Iss Raat ko Idhar
Udhar Ghoom Kar  Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht
Mehroomi Hai.Baaz Log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse
Tak Jaagte Hain Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai.Iss
Tarah unki Fajr Ki Namaaz Qaza Ho Jo Jaati Hai Jo K Jaayez
Nahin Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho
unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai Aise Logo Ko Chaahiye
K Isha Ki Namaaz Jama’at Se Padhkar So Jaaye Aur Fajr Ki
Namaaz Jama’at Se Padhe K Hadees Sharif Mein Hai k Huzoore
Akram SallalLaahu T’aala Alaihi  Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Jisne Ba Jama’at Isha Ki Namaaz Padhi Goya Aadhi Raat
Qayaam Kiya(Ibaadat Kiya) Aur Jisne Fajr Ki Namaaz Jama’at
Se Padhi Goya Poori raat Qayaam(Ibaadat) Kiya (Muslim Sh)
iss Tarah Unko Raatbhar Ibaadat Karne ka Sawaab Mil Jaayega
Aur Fajr Ki Namaaz Qaza Na Hogi. iss Raat Mein Qasrat Se
Nawafil Padhe Aur Agar Zindagi Qaza Namaaze Ho To Behtar Ye
Hai K Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se
Adaa Karne K Apne Rab Se Maafi Maange.Aala Hazrat Azimul
Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala
Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20
Rakaton Ki Hoti Hai 2 Fajr ki, 4 Zohar Ki,  4 Asr Ki, 3 Magrib , 4
Isha, 3 Vitr. Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye
Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa
Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye.Zyaada
Ho Jaaye To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta
jald Adaa Karein Kaaheeli Na Karein. Jab Tak Farz Zimaa Rehta
Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata.Niyyat Unn Namaazon Ki
Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar
Yu Kahe Ki Sab Se Pehli Jo Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi
Kahe yaani 1 Adaa Huyi To Baakiyon Mein Jo Sabse Pehli Hai Isi
Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein.Jis par
Bahut si Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai k
1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fateehah Ki
Tilaawat ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein
Jaaye.2)Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood  Mein Sirf 1 Baar
Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal A’ala Padhlena
kaafi Hai.(Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad
aur Uthne Se Pehle Adaa Karen)3)Tashahhud Ke Baad Dono
Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA SALE ALAA
SAYYEDINA MUHAMADEU WA AALIHI Keh Kar Salaam Pher
De.4) Vittro Mein Bajaaye Qunood Ke 3 Baar Rabbig phirli
Kehna Kaafi Hai.Tuloo, GurUb Wa Zawwaal Ke Alaawa Qaza
Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti Hai.(Fatawae Razviya Jild
3, SAFA No 621-622) ALLAH T’AALA Ham Sab Logo Ko Iss Raat
Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.
note- iss kitaabcha mein mukhtasar masail zikr kiye gaye hai
tafseel ke liye fatawae razwiya aur bahaare shariat ka mutaal’a
farmaye
Last Page
ALL INDIA JAMAATE RAZAE MUSTAFA
Alhamdulillah Iss Jama’at Ko Ye Sharf Haasil Hai k Aala Hazrat
Jo Chaudhvi Sadi Ke Mujaddid Hain Unhone Iss Jama’at Ki
Buniyaad Rakhi Aur Huzoor Mufti-e-AazaMe Hind Jo Pandravi
Sadi Ke Mujaddid Hain Unhone Ta Zindagi Iss Jama’at Ke Zariye
Ahle Sunnat Wa Jama’at Ki Rehbari Farmayi Aur Logo ko Isse
Judhe Rehne Ki Talqeen Ki Iss Zamaane Mein Huzoor
TajushShariah Allama Mufti MuhamMad Akhtar Raza Qadri
Razvi Madda Zillahul A’ali Iss Jama’at Ki saraparasti Farma
Rahe Hain Lihaza aap bhi malake Aala Hazrat Par Mazbooti se
Qaayam rehne ke l;iye iss Jama’at Mein Sharik Ho Jaayen Aur
Iss Jama’at Ke Ijtima’aat Mein Shirkat Karein Jin Mein ulamaye
Ahle Sunnat Ke Bayanaat Hote Hain Aur Logo Ke Sawaalaat Ke
Jawaabaat Diye Jaate Hain.

No comments:

Post a Comment